Hindi this time

I’m posting here after a long time. Somehow Anju reminded me of this blog. And Jeet I edited the sidebar. Now it’s little more informative.

Khair, today I somehow feel like quoting some good Hindi poetry. So take this:

dono aor prem palataa hai.
priya,
patanga to jalataa hi hai,
deepak bhi jalataa hai.

Another one, this time from Sumitra Nandan Pant:

paawas ritu thi, parvat pradesh,
pal-pal parivartit pakriti vesh

mekhala-akaar, parvat apaar,
apane sahasra drug-suman faad,
avalok raha tha bar-bar,
neeche jal me nij mahaakaar.

And now a self composed one:

ghar ho ik sundar chandan ka,
ghar ho wah komal bandhan,
yeh swapna sajeele mai apane saakaar nahi kar paaonga,
kalp-vriksha ki amal kali tujhe pyaar nahi de paaonga.

tum wah sundar phool ho jo,
jo patzhad me khil jaaye,
mai wah sukha patta hoon,
ho bahaar me zhad jaaye,
bhavuk kavita apane man ki har baar nahi de paaonga,
kalp-vriksha ki amal kali tujhe pyaar nahi de paaonga.

That’s it for now. We’ll be back with lot more. Stay tuned!!

2 thoughts on “Hindi this time

  1. I want to be a contributor again.
    I demand! I demand! I demand!

  2. Your wish is my duty, Caesar!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *