nispand

mai neer bhari dukh ki badali,

spandan mei.n chir nispand basA,
krandan mei.n Ahat vishwa hansA.
nayano.n mei.n deepak se jalate,
palako.n mei.n nirjharani machali.

mai neer bhari dukh ki badali.

(By Mahadevi Verma)
(Image: Vivian Tragante do Ó, thanks for allowing me to put it here)

os

Ankh ka Ansu dhalakatA dekha-kar,
jee tadap kar-ke hamArA reh gayA.

kyA gayA moti kisi kA hai bikhar,
yA hua paidA ratan koi nayA.

(By Ayodhya Singh Upadhyaya `Hariaudh’)
(Image: Niagara, taken by Navneet Loiwal, sorry for not asking you Navneet)

shabnam …

partav-e-khur se hai shabnam ko fanaa ki taaleem
maiN bhee hooN ik inaayat ki nazar hone tak

[partav-e-khur = sun’s reflection, shabnam = dew, fanaa = mortality, inaayat = favour ]

GHam-e-hastee ka Asad kis-se ho juz-marg ilaaz
shammaa har rang meiN jaltee hai sahar hone tak

[ hastee = life/existence, juz-marg = till death, sahar = morning ]

(By Ghalib)
(Image – a window pane in my (ex-)office on a winter morning)

(The header image of the zarquon blog is taken from this image)

masti ka aalam …

hum deevaano ki kya hasti,
hai aaj yaahan kal wahaan chale,
masti ka aalam saath chale,
hum dhool udaate jahaan chale.

kis aor chale yeh mat poochho,
chalana hai bas isliye chale,
jag ko apanaa kucch diye chale,
jag se uska kuchh liye chale.

(By Bhagwaticharan Verma)
(Image – from a party in my hostel room – dont ask me who’s that guy)

dhoop ka tukDa

jaaDe ke dino me
dhoop ka ek tukDa
aataa hai mere aangan me
naTkhaT bacche sa.
ek kone se
doosre kone tak,
reshami vastra sa
sarakataa hua,
dauDataa hai.
khijataa hai.
sukhaane ko daali gayi
cheezon ko sarkaate,
THanD se THiTHuri
deh ko garamaate,
subah se shaam tak
thakaa daalata hai
wah naTkhaT
dhoop ka tukDa

(By Radha Janardan)
(Image – on a winter afternoon in my mother’s kitchen)